Rukh se parda ab apne hata do
Jaliyon par nigahen jamee he
Apna jalwa isi me dikhado
Jaliyon par nigahe jami he
Ghous ul azam ho ghous ul wara ho
Noor ho noor e salle alaa ho
Kya bayan aapka martaba ho
Dastagir aur mushkil kusha ho
Aaj deedar apna karado
Jaliyon par nigahe jami he
Sunn rahe he wo fariyad meri
Khaak hogi na barabaad meri
Mai kahi bhi maru shahe jilaan
Rooh pahuchegi baghdad meri
Mujh ko parwas ke par laga do
Jaliyon par nigahe jami he
ik mujrim siyahkar hu mai
Har khata ka sazawar hu mai
Mere charo taraf he andhera
Roshni ka talabgar hu mai
Ik diya hi samjh kar jala do
Ik diya hi samajh kar jala do
Jaliyon par nigahe jami he
Wajd me aayega sara aalam
Jab pukarenge ya ghous ul azam
Wo nikal aayenge jaliyon se
Aur kadmo me gir jayenge hum
Fir kahenge ke bigdi bana do
Jaliyon par nigahe jami he
Fikr dikho khayalat dikhao
Ye akidat ye jazbat dikho
Mai hu kiya meri aukat dikho
Samne kaisi zaat he dikho
Aay adeeb apne sar ko jhuka do
Jaliyon par nigahe jami he
Faslon ko khudara mitado
Jaliyon par nigahe jami he
Rukh se parda ab apne hatado
Jaliyon par nigahe jami he
No comments:
Post a Comment